jab insan dil ko sunwarne ki mehnat shuru karta hai tab pata chalta hai us dil me kitna kaam baki hai dil ka sunwarna aasan nahi muddate gujar jati hain tab jakar insaan ka dil sunwarta hai
wirane bhi dekhe hain abadi bhi dekhi hai
jo ujde to phir na base dil woh nirali basti hai
dil ka ujadna sahel sahi basna khel nahi bhai
basti basna khel nahi basti baste baste basti hai
jis trah bastiyo ka abad hona koi asan kaam nahi hota umre gujarti hain tak woh aabad hoti hain bilkul usi trah umre gujarti hain tab jakar dil aabad hota hai bigadta jaldi sanwarta badi muskil se
0टिप्पणियाँ