AURAT GHAR KI MALIKA
islaam ne aurat par roji kamana zindagi me kabhi fark nahi kiya beti hai to baap ka farj hai ki woh beti ko roti kama kar khilaye agar bahen hai to bhai ka farj hai ki kama kar laye agar biwi hai to khavind ka farj hai ki kama kar laye agar ma hai to aulad ki jimma dari hai ki woh kamaye aur apni aulad ko lakar khana khilaye goya aurat par puri zindagi islaam ne roji kamane ka bojh nahi dala balki uske karibi mehram mardo ki jimma dari lagai ki tumne kamana hai aur us aurat ko gharme lakar dena hai ye gharki malika ban kar rahegi bacho ki tarbiyet karegi aur gharke andaroni zindagi ke tamam muamlat ko sambhalegi ab batayye ki kis muashrah ne aurat ko jiyadah asani ki zindagi di islaam ne ya europ ne?
0टिप्पणियाँ