Hazrat khizar alaihissalam ka waqya part4
Hazrat Khizar Alaihissalam Ka Waqya part5
aur ye sach hai ki allah ka ata karda ek ilm mujhko hai tumko nahi aur ek ilm (yani toret ka ilm) tumko hai mujhko nahi
Phir Musa Alaihissalam Ne Kaha( Al Quran Tarjuma) Usse Musa Ne Kaha Kiya Me Tumhare Sath Rahu Is Sart Pe Ki Tum Mujhe Sikha Doge Woh NeK Baat Jo Tumhe Talim Hui, Is Par Khizar Alaihissalam Ne Kaha(al Quran Tarjuma) Kaha Aap Mere Sath Sabr Nahi Kar Sakenge, Hazrat Musa Alaihissalam Ki Adab Aur Tawajja se Malum Hua Ki Admi Ko Ilm Ki Talab Me Rehna Chahye Khuah Kitna Bada Alim Q Na Ho Aur Jisse Ilm Sikhe Usse Nihayet Adab Wa Ehtram Se Pesh Aye Hazrat Musa Alaihissalam Ka Sawal( Husule Ilm Se Mutaliq) Sun Kar Hazrat Khizar Alaihissalam Ne Farmaya Ki Aap Sabr Na Kar Sakenge Chuki Hazrat Khizar Alaihissalam Apne Ilm Wa Kamal KI Waja SE Ye Jante The Ki Hazrat Musa Alaihissalam Ka Kaam Shariyate Khudawandi Ka Pabandi Karna Aur Jahir Shariyet Aur Ehkame Khuda Wandi Ke Khilaf Karne Walo Par Sakhti Se Rokna Hai Agar Mujhse Koi Kaam Jahiri Shariyet Ke Khilaf Dekhenge To Namumkin Hai Ki Woh Nabi Hone Ke Nate khilafe Shariyet Amar Pe Sabr Kare Is Liye Farmaya Ki Aap Sabr Na Kar Sakenge Hadith Sharif Me Hai Ki Hazrat Khizar Alaihissalam Ne Hazrat Musa Alaihissalam Se Farmaya Ki Ek Ilm Allah ne mujhko Aisa Ata Farmaya hai Jisko Aap Nahi Jante Aur Ek ilm Aapko Aisa Ata Farmaya Hai Jo Me Nahi Janta Mufassarin Wa Muhaddisin kehte Hain Ki Jo Ilm Hazrat Khizar Alaihissalam Ne Apne Liye Khas Farmaya Woh Ilme Batin Aur Mukashfa Hai Aur Ehle Kamal Ke Liye Ye Ba Ase Fajl Hai Chunanche Hadith Sharif Me Aya Hai Ki Siddiq Akbar( Razi allah tala anhu) Ko Sahaba Karam razi allah tala anhum Par Is Waja Se Fazilat Nahi Ki Unki Namaze Unke Amaal Dusre Sahaba Razi allah tala anhum Se Jiyeda Hain Balki Unko Is Waja Se Dusre Sahaba razi allah tala anhum Par Fazilat Hai Ki Unka Sina Muarfe Ilahi Ka Gunzina Hai Yani Unke Pass Ilme Batin Aur Ilme Israr Hai Aur Un Uloom Ke Hone Se Unse Jo Amaal Sadir Honge Woh Hiqmat Se Honge Agar Che Bajahir Khelaf Malum Ho Hazrat Musa Alaihissalam Ye Sun Kar Ki Aap Sabr Nahi Kar Sakenge Farmaya Chuki Me Chahta Hu Ki Aap Se Ilm Hasil Karu Aur Allah Tala Ka Huqm Bhi Yahi Hai To Me Tamam Muamlat Me Sabr Karunga Balki Youn Kaha Ki Allah Ne Chaha To Aap Mujhe Sabir Paoge Phir Hazrat Khizar Alaihissalam Ne Kaha Ki Agar Aap Mere Sath Rehte Rahe To Mujhse Kisi Baat Ka Mat Puchyega Jab tak Me Khud Uska Jiqr Na Karu Jara Gaur Kare Ki Ilm Jahir Ki Shuruat Hi Q Se Hoti Hai Ab Yaha Ilm Batin Aur Ilm Laduni Ki Tadris Ka Muamla Hai To Kaha Ja Raha Hai Q Na Karna Ilme Batin Shuru Hi Farmabdari se Hote Hain Chu Wa Chura Ka Sawal Hi Nahi Ye Tasuf Ka Ek Ehem Nuqta Hai Jo Yaha Talim Farmaya Ja Raha Hai Aur Musa Alaihissalam Chuki Uloom Batin Ka Husul chahte the Aur Unki Tehsil Ko Khuda Ka Huqm Samajhte The Aur Chuki Wo HaZrat Khizar Alaihissalam Ko Ustad Ki Haisiyet Se Taslim Kar Chuke the Isliye Aapne Hazrat Yousha Bin Noon Ke Sath Ye Shart Kabool Ki Aur Dono Ne Safar Shuru Kiya Dariya Ke Kinare Kinare Ja Rahe The Ki Ek Kashti Par Nazar Padi Jo Kinare Se Door Nikal Gai Thi- Continue,,,
0टिप्पणियाँ